Wednesday, 18 July 2012

Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain... Khafa Hoon Jin Se Unhi K Khayal Hote Hain. Machalte Rehte Hain Zehnon Main Waswason Ki Tarhan. Haseen Log Bhi Jaan Ka Wabaal Hote Hain. Main Dil K Zakhm Chupaon Teri Tarhan Kaise. K Tere Paas To Lafzon K Jaal Hote Hain. Bas Ek Tu Hi Sabab To Nahin Udaasi Ka. Tarhan Tarhan K Dilon Ko Malaal Hote Hain. Siyah Raat Main Jalte Hain Jugnuon Ki Tarhan... Dilon K Zakham Bhi Kitne Kamaal Hote Hain.
Agar tum aaina dekho tou........ Apny aap sy nazrein chura lena! k aksar bewafa logon ko, jab wo aaina dekhen tou, aankhain chor lagti hen !!!

Monday, 16 July 2012

Zawal-e-shab main sitaroon ne sath chhorr diya, “saba chali to chiragoon ne sath chhorr diya, “mila jo mouqa mujhe un se baat krne ka, “Mere naseeb k lafzon ne sath chhorr diya, “woh ‘roo ba roo’ thi magar uss ko dekhte kaise, “Woh rang’o noor thi Aankhon ne sath chhorr diya……
Rakhtay hain jo auroon k liye Piyaar ka Jazba, Woh loug kabhi toot kar bhikhra nahi krtay..!


Thursday, 28 June 2012


Kahien se tera sath le Aaoon
Wasl ki chand raat le aaoon
Beth jaoon kisi doorahay per
Mang ker tera hath le aaoon
Kitni sadiyoon ke baad bolo mein
Lab pe aik teri hi baat le aaoon
Apni aankhoon ki band ghalioon se
Aansoon ki barat le aaoon
Itni pooja keroon ke mein ik din
Apni zaat mein teri zaat le aaoon

Yeah hum tasleem kerte hain
Tumhien Fursat nahi milti
Humaray waste tumko
Koi sayat nahi milti
Humari soch ke mehwar
Kabhi ik pal to socho tum
Tumhien hum yaad kerte hain
Aur itna yaad kerte hain
Ke khud ko bhool jatay hain

Sunday, 24 June 2012

Ishq ne hume Rula Diya
Jis Per Marte The usne hi hame bhula Diya
hum to unki yadon mein hi jee laitay,
magar unhone to yaadon mein hi ZEHER mila diya